advertise Online Pakistan

Advertisement

aa ki meri jan mai qarar nahi hai – Mirza Ghalib

aa ki meri jan mai qarar nahi hai

aa ki meri jan mai qarar nahi hai
taqat-e-bedad-e-intazar nahi hai

dete hain jannat hayat-e-dahar ke badle
nashsha baandaza-e-khumar nahi hai

giriya nikale hai teri bazm se mujh ko
haye! ki rone pe ikhtiyar nahi hai

hum se abas hai guman-e-ranjish-e-khatir
khak mai ushshaq ke gubar nahi hai

dil se utha lutf-e-jalva hai maani
gair-e-gul aaina-e-bahar nahi hai

qatl ka mere kiya hai ahad to bare
vaye! agar ahad ustavar nahi hai

tu ne qasam maikashi ke khai hai ‘ghalib’
teri qasam ka kuch aitabar nahi hai

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Mirza Ghalib

Here is Some Related Poetry or shayari
  • aaina kyun na dun ke tamasha kahen jise – Mirza Ghalib
    aaina kyun na dun ke tamasha kahen jise aisa kahan se laun ke tujhasa kahen jise hasarat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein guladasta-e-nigah suveda kahen jise phunka hai kisane goshe muhabbat mein ae khuda afasun-e-intazar tamanna kahen jise sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye wo ek musht-e-khak ke sahara kahen jise hai chashm-e-tar mein hasarat-e-didar se nihan shauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise darakar hai shiguftan-e-gul
  • aadatan tum ne kar diye vade – Gulzar
    aadatan tum ne kar diye vade aadatan hum ne aitabar kiya teri rahon mein baraha ruk kar hum ne apana hi intazar kiya ab na mangenge zindagi ya rab ye gunah hum ne ek bar kiya Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Gulzar
  • Sata sata ke hamen ashkbar karati hai – Wafa Roomani
    Sata sata ke hamen ashkbar karati hai tumhari yaad bahut beqarar karati hai wo din jo sath guzri the pyar ke hum ne talash un ko nazar bar bar karati hai gila nahi jo nasibon ne kar diya hai juda teri judai bhi ab hum ko pyar karati hai kinare baith ke jis ke kiye the qaul-o-qarar nadi wo ab bhi tera
  • Jan-e-sukun aa bhi ja tera hi intazar hai – Yahya Jasdanwalla
    jan-e-sukun aa bhi ja tera hi intazar hai aankhon se ashk hai ravan jan bhi beqarar hai hone ko fasl-e-gul bhi hai davat-e-aish hai magar apni bahar ka mujhe aj bhi intazar hai sare sahare ishq ke toot chuke hain hijr mein ek tumhari yaad bas dard ke gam-gusar hai ahad-e-vafa ka aap ke lutf-o-karam ka aap ke aur kisi ko ho
  • Aj ashkon ka tar tut gaya – Saifuddin Saif
    aj ashkon ka tar tut gaya rishta-e-intazar tut gaya yun wo thukara ke chal diye goya ik khilauna tha pyar tut gaya roye rah-rah kar hichkiyan lekar saz-e-gam bar bar tut gaya aap ke berukhi ka shikava kya dil tha napaidar tut gaya dekh li dil ne besabati-e-gul phir tilism-e-bahar tut gaya ‘saif’ kya char din ke ranjish se itani muddat ka pyar tut gaya koi to

Advertisement



Comments are closed.