Aj ke daur mai ae dost ye manzar kyun hai – Sudarshan Faakir
aj ke daur mai ae dost ye manzar kyun hai
zakhm har sar pe har ik hath mai patthar kyun hai
jab haqiqat hai ke har zarre mai tu rahata hai
phir zamin par kaheen masjid kaheen mandir kyun hai
apana anjam to malum hai sab ko phir bhi
apani nazaron mai har insan sikandar kyun hai
zindagi jine ke qabil hi nahi ab “fakir”
varna har aankh mai ashkon ka samandar kyun hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sudarshan Faakir
Sudarshan Faakir
Here is Some Related Poetry or shayari
- samane hai jo use log bura kahate hain – Sudarshan Faakir
samane hai jo use log bura kahate hain jisako dekha hi nahi usako khuda kahate hain zindagi ko bhi sila kahate hain kahanevale jinevale to gunahon ke saza kahate hain fasale umr ke kuch aur bada deti hai jane q log use phir bhi dawa kahate hain chand masum se patton ka lahu hai “fakir” jisako mahbub ke hathon ke hina kahate - aadmi aadmi ko kya dega – Sudarshan Faakir
aadmi aadmi ko kya dega jo bhi dega vahi khuda dega mera qatil hi mera munsib hai kya mere haq mein faisala dega zindagi ko qarib se dekho isaka chehara tumhen rula dega hamase pucho dosti ka sila dushmanon ka bhi dil hila dega ishq ka zahar pi liya “fakir” ab masiha bhi kya dava dega Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Sudarshan - Shayad main zindagi ke sahar leke aa gaya – Sudarshan Faakir
Shayad main zindagi ke sahar leke aa gaya qatil ko aj apne hi ghar leke aa gaya ta-umr dhundhata raha manzil main ishq ke anjam ye ki gard-e-safar leke aa gaya nashtar hai mere hath men, kandhon pe maiqada lo main ilaj-e-dard-e-jigar leke aa gaya ‘fakir’ sanamakade mein na aata main lautakar ik zakhm bhar gaya tha idhar leke aa gaya Poet of - Dil aur wo bhi tuta hua dil – Taskeen Qureshi
Dil aur wo bhi tuta hua dil ab zindagi hai jine ke qabil kya zindagi ka ehasas-e-shamil tere bagair ek garat-gari dil hota hai jitana khun-e-tamanna badati hai utani rangini-e-dil josh-e-junun mein yak sa hai dono kya gard-e-sehra, kya khak-e-manzil taqdir-e-insan aur ye zamana ek marg-e-asan aur wo bhi mushqil lab par tabassum, aankhon mein aansu hum likh rahen hain afsana-e-dil ‘taskeen’ se aksar hum bhi mile - Ye jo zindagi ke kitab hai ye kitab bhi kya kitab hai – Rajesh Reddy
Ye jo zindagi ke kitab hai ye kitab bhi kya kitab hai kaheen ik hasin sa khwab hai kaheen jan-leva azab hai kaheen chanv hai kaheen dhup hai kaheen aur hi koi rup hai kai chehare is mein chupe hue ik ajeeb si ye naqab hai kaheen kho diya kaheen pa liya kaheen ro liya kaheen ga liya kaheen chin