advertise Online Pakistan

Category: Chand Sitare

Sooraj Ka Zikr Chandani K Saath

Ahsaaan Agar Karo Tou Kisi Ko Khabar Na Ho
Sooraj Ka Jesey Zikr Nahi Chandani K Saath

Dar Pey Nisaar Chaand

Tehra , Jhuka Hua Terey Dar Pey Nisaar Chaand
Nikla Jo Baadlo Sey Kabhi Sogwaar Chand

Chand Sey Thoree See Mattee Lo

Chalo Tum Asia Karo

Chand Sey Thoree See Mattee Lo
Phir Us Sey Do Butt Banao

Aik Tum Jaisa,
Aik Muj Jaisa.
Phir Kuch Aisakaro
In Buton Ko Tor Do.
Phir Sey Iskay Do Butt Banao
Tum Main Kuch Kuch Main Reh Jaoon
Muj Main Kuch Kuck Tum Reh Jao

(S.T.Bukhari)

Chand Mujh Pe Ehsaan Kar Giya

Wo Chand Mujh Pe Kia Ajab Ehsaan Kar Giya,
Zalim Mujhay To Sahib-E-Emaan Kar Giya,
Wo Zehn Main Samaya To Kuch Istarah Laga,
Jaisay Main Hifz Raat Main Quran Kar Giya.

Chand Ko Jab Qareeb Say Dekha

Chand Ko Jab Qareeb Say Dekha
Door Say Dekhney Ki Shey Nikli

Chaudhwein Raat Ka Chand Ban Kar

Koi Chaudhwein Raat Ka Chand Ban Kar
Tumharay Tasawur Mein Aya To Hoga,

Kisi Se To Ki Hogi Tum Ne Muhabbat
Kisi Ko Galay Se Lagaya To Hoga,

Tumharay Khayalon Kay Agan Mein Meri
Yaad Ke Phool Mehkay To Hon Gay,

Read more »

Choudhwen Ka Chand Dekhon

Jab Kabhi Choudhwen Ka Chand Dekhon
Tum Yaad Aatey Hon

Jab Kabhi Subha Ki Pehli Kiran Dekhon
To Tumhari Muskurahat Yaad Aati Hai

Jab Kabhi Souraj Ko Dhalta Dekhon
To Tumharey Gham Yaad Aatey Hain
Read more »

Sahir Ludhianvi Shayari

Chaand Maddham Hai Aasmaan Chup Hai
Niind Kii God Men Jahaan Chup Hai

Duur Vaadii Men Duudhiyaa Baadaal
Jhuk Ke Parbatko Pyaar Karate Hain

Dil Men Naakaam Hasaraten Lekar
Ham Teraa Intazaar Karate Hain

Read more »

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 ... 15

Advertisement





More about Chand Sitare and Poetry in Urdu and Hindi