Chand ko garoor hai
chand ko garoor hai q ke us ke pass noor hai
main q garoor karo mera chand toh dhoor hai
|
chand ko garoor hai q ke us ke pass noor hai
main q garoor karo mera chand toh dhoor hai
Ye Jo Pani Mein Sunehera Garoor Utar Aya Hai
Zaroor Usne Pani Mein Payu Utara Hoga
Aaundi samajh na saathu ki kasoor ho gaya
Saade PYAR vaala sheesha choor-choor ho gaya
Assi Sohneya de magar 4 din hi gaye
Unna nu apne HUSN da garoor ho gaya
Gharoor-e-husn serapa nayaz ho tera
Taweel raaton mein tu bhe qarar ko tersay
Teri nigah kisi gham gusaar ko tersay
Khizaan raseedah tamanna bahar ko tersay
Koi jabeen na teray sunnat-e-aastaan pe jhukay
Keh Jins-e-izz-o-aqeedat se tujh ko shaad keray
Fareb-e-wadah farda pe aitemaad keray
Khuda woh waqt na laye keh tujh ko yaad aye
Woh dil keh teray liye beqarar ab bhe hai
Woh aankh jis ko tera intezaar ab bhe hai
Chareya rehnda c teray pyaar da suroor kadi
Hunda c sanu teri yaari tay gharoor kadi
Maar diti thokar sanu gali day rorray vaango
Socheya nahi c tu hovega enna maghroor kadi
Haar gaye haan dil haathon aaj assi teray kar k
Zindgi vich hoye nahi assi enna majhboor kadi
Kyon banaya tu tamasha yaara saday sachay pyaar da
Mileya taan eh taanu pucha gain zaroor kadi
Bhavain tor geya saday naal tu yaari aaj
Par hovega na yaara saday dil ton tu dur kadi
KHUDAA WOH WAQT NA LAAI
Khudaa woh waqt na laai keh sogawaar ho tu
sakoon ki neend tujhay bhi haraam ho jaai
teri musarrat-e-peham tamaam ho jaai
teri hayaat tujhay talkh jaam ho jaai
Ghamoon say aaina-e-dil gudaaz ho tera
hajoom-e-yaas say baytaab ho kay reh jaai
wafoor-e-dard say seemab ho kay reh jaai
tera shabaab faqt khawaab ho kay reh jaai
Gharoor-e-hussn sarapa nayaz ho tera
taweel raatoon main tu bhi qaraar ko tersay
teri nigaah kissi ghum gusaar ko tersay
khazaan raseedah tamanna bahaar ko tersay
Koi jabeen naan teray sang-e-aastaan pay jhukay
keh jins-e-ijz-o-aaqeedat say tujh ko shaad karay
faraib-e-waada-e-farda pay aaitamad karay
khudaa woh waqt na laai keh tujh ko yaad aai
mein mar mita tu wo smjha yeh inteha hay mery
usay khabar he na thee , khak kimiya the mery
mein chup hua tu wo smjha kay bat khatam hoey
phir uss kay bat tu awaz ja bja the mery
jo taana zan tha mery poshash-e-dureeda par
usi kay dosh pay rakhi hoey quba the mery
mein uss ko yaad karon bhi tu yaad ata nahi
mein us ko bhol gia hon , yahi saza hay mery
shikas day gia apna gharoor he uss ko
wagarna uss kay muqabil bisaat kia the mery
kahin dimagh , kahin dill , kahin badan he badan
har ek say dosti yari juda juda thee mery
koi bhi koay muhabbat say phir nahi guzra
tu shehr-e-ishq mein kia akhri sada the mery ??
jo ab ghumad say sar ko uthaey phirta hay
usi tarha ki tu makhlooq khak-e-pa the mery
har ek sher na tha dar khor-e-qaseed-e-dost
aur iss say tab-e-rawaan khoob ashna the mery
mein uss ko dekhta rehta tha hairaton say FARAZ
yeh zindgy say tuaraf ki ibtada the mery
Kyun na gharoor karta mein apney aap pey “FARAZ”
Mujhe us ney chaha jis ka chahnay waly hazaron the.