Bichhati Apni Palaken Tere Pairon Ke Tale Bhi Main
Jo Tera Saath Milta Doosari Hi Ban Ke Rahti Main
Tere Darwaze Pe Main Khud Diya Ban Ke Jala Karti
Jo Ye Hota To Hamdam Baat Koi Aur Hi Hoti
Tu Mujhse Roothne Ka Ek Bhi Pal Chhant Na Pata
Main Teri Har Khushi Pe Is Tarah Qurban Ho Jaati
Read more »
Dur Na Jaaya Karo Dil Tadap Jaata Hai,
Tere Hi Khayalon Me Din Guzar Jaata Hai,
Aaj Puchha Hai Dil Ne Ek Sawal Tumse,
Kya Dur Rehker Tumko Bhi Hamara Khayal Ata Hai.
Neend Nahi Aati Bas Khwab Aate Hai
Khwab Aate Hai To Aap Aate Hai
Essi Kashmakash Me Raat Beet Jati Hai
Na Neend Aati Hai Na Aap Aati Hai
Apni Beeti Howi Rangeen Jawani Dega
Mujhko Tasweer Bhi Dega To Purani Dega,
Adatain Milti Hain Suraaj Se Bohut Kuch Uski
Waqt Rukhsat Bhi Woh Ek, Shaam Suhani Dega,
Mere Mathe Ki Lakeroon Mien Izaafa Kar Ke
Woh Bhi Maazi Ki Tarah Apni Nishaani Dega,
Baraf Ho Jayega Jab Mere Lahu Ka Daryaa
Tab Kaheen Ja Ke Woh Mojoon Ko Rawani Dega,
Meine Yeh Soch Ke Boye Nahin Khwaboon Ke Darakht…
Kaun Jangal Mein Lage Pair Ko Pani Dega
Tera Khayal Dil Se Na Jaye To Kya Karu,
Reh Reh Kar Teri Yaad Aye To Kya Karu,
Kehte Hai Khwaabon Mein Hogi Mulakat,
Raat Bhar Neend Hi Na Aye To Kya Kaaru..
Bechaini Tadpaye Jab Unki Yaad Aye
Humari Khuli Bahein Unhe Hi Bulaye
Hume Pata Hai Ki Who Ek Khwaab Hai
Khwaabon Mein Who Hume Yun Hi Tadpaye
Kia Kahon Tumhain?
Khuwab Kahon To Bikhar Jaoge!
Dil Kahon To Toot Jaoge!
Lo, Tumhara Naam Zindagi Rakh Deti Hon..!
Maut Se Pehle Hamara Sath Na Chor Paoge…!!