advertise Online Pakistan

Category: Musafir Shayari

Musafir Manzil Se Kareeb Nahi To Kia

Musafir Manzil Se Kareeb Nahi To Kia,
Kisi Humsafar Ki Umeed To Hai..
Aapko Nahi Pasand Hamara Kalaam To Kia,
Zamaana Aapse To Nahi Hai..

Musafir Hoon Teri Kashti Ka

Zindagi Main To Musafir Hoon Teri Kashti Ka,
Tu Jahan Mujhse Kahegi Mein Utar Jaaunga.

Musafir Kyoon Bay Chain Ho Gayay Hain

Doorion Ka Sabab Shayad Barhtay Huway Faaslay Thay
Mohabbat Nay Sehra Paar Kiya Garchay Paaon Mein Ablay Thay

Bay Niazi, Bay Aitana’iee Kyoon Barh Gayee Hai Aakhir
Kabhi Hum Bhee Thay Shanasa Kabhi Hum Bhee Tum Say Milay Thay

Musafir Kyoon Yeklakht Bay Chain Ho Gayay Hain
Bhais Badal Kar Rahzan Shayad Qaaflay Say Aa Milay Thay

Manzil Ki Doori Nay Bhee Thakan Safar Ki Barha Di
Yoon Bhee Teri Talash Men Hum Zindagi Bhar Chalay Thay

Aap Hi Nay Dair Kardi Aanay Men Shaayad
Warna Dareechay To “Humtum” Kay Yunhi Sada Khulay Thay

Musaffir K Rasstey Badltey Rahey

Musaffir K Rasstey Badltey Rahey
Muqader Main Chalna Tha Chaltey Rahey

Koi Phool Sa Haath Kandhey Pay Tha
Mere Paaon Magar Sholon Pay Chaltey Rahey

Main Rasttey Main Uljha Raha
Diyey Uski Rahoon Main Jaltey Rahey

Woh Kya Tha Jise Hum Ney Thukra Diya
Mager Umer Bher Haath Maltey Rahey

Mohabbat,Adavar, Wafa,Bayrukhi
Kiraye K Gher The Badltey Rahey

Suna Hai Unhe Bhi Hawa Lug Gai Hai
Hawaon K Jo Rukh Badlatey Rahey

Lipat K Chiraghoon Sey Hum So Gaey Kuchh Yun
Ki Banke Raakh Bhi Hum Jalte Rahe

Mere Dil Mere Musaafir

Mere Dil Mere Musaafir
Huaa Phir Se Hukm Saadir
Ke Vatan Badar Hon Ham Tum
Den Galii Galii Sadaayen
Karen Rukh Nagar Nagar Kaa
Ke Suraag Koi Paayen
Kisii Yaar-E-Naamaabar Kaa
Har Ek Ajanabii Se Puuchhen
Jo Pataa Thaa Apane Ghar Kaa
Sar-E-Kuu-E-Naashanaayaan
Hamen Din Se Raat Karanaa
Kabhii Is Se Baat Karanaa
Kabhii Us Se Baat Karanaa
Tumhien Kyaa Kahun Ke Kyaa Hai
Shab-E-Gam Burii Balaa Hai
Hamien Ye Bhii Thaa Ganimat
Jo Koii Shumaar Hotaa
Hamien Kyaa Buraa Thaa Maranaa
Agar Ek Baar Hotaa

Musafir Nakaamyaab Lagta Hai

Uthti Rahi Hai Cheekh Aaj Samandar Me Saari Raat,
Musafir Koi Humain Phir Nakaamyaab Lagta Hai…

Bina Kashti Ke Musafir

Toot Kar Chaaha Tha Jise Wohi Dhoka De Jayega…
Bina Kashti Ke Musafir Bata Kaise Sahil Tak Aayega…

Sookhe Patton Ki Tarah Yun Bikhar Jayegi Zindagi Apni…
Socha Na Tha Yeh Waqt Hamain Is Mod Par Bhi Layega…

Maine Chand Ki Tamana Mein, Ginwa Diye Taare Bhi…
Is Oonchi Udan Mein Kahan Maloom Tha Ke Kafila Hi Choot Jayega…

Apni Hi Lagai Aag Mein Apna Hi Wajood Jal Jayega…
Kis Ko Khabar Thi Aisa Waqt Bhi Hum Par Ayega…

Jab Raigistan Ki Rait Hi Apna Mukadar Thi To…
Kyon Socha Humne Ki Hamain Woh Mil Jayega…

Apne Hi Banaye Jaal Mein Shikari Khud Hi Qaid Ho Jayega…
Koi Kya Yon Bhi Bhala Apna Mukadar Likhwayega…

Zindagi Tapti Dhoop Ke Tale Yun Hi Chali Ja Rahi Hai…
Kya Ab Koi Laash Uthane Bhi Nahi Ayega…

Admi Musafir Hai Aata Hai Jata Hai

Admi Musafir Hai Aata Hai Jata Hai
Admi Musafir Hai Aata Hai Jata Hai
Aate Jaate Raste Main Yaadien Chur Jate Hai
Admi Musafir Hai Aata Hai Jata Hai

1 2 3

Advertisement





More about Musafir Shayari and Poetry in Urdu and Hindi


musafir shayari, musafir sms, musafir hindi shayari, musafir shayari and sher o shayri, lafz musafir sms, musafir urdu shayari, musafir 140 words