Iss Naye Saal Per Meri Dua
Iss Naye Saal Per Meri Dua Hai Ke..
Tere Sehan Chaman Main
Rooz Chandni Jagmagae
Sitaroon Ki Mala Utrey
Musarrat Ke In Lamhoon Main
Khushian Tere Gird Jhilmalain
Or
Baharoon Se Tera Daman Bhar De.
|
Iss Naye Saal Per Meri Dua Hai Ke..
Tere Sehan Chaman Main
Rooz Chandni Jagmagae
Sitaroon Ki Mala Utrey
Musarrat Ke In Lamhoon Main
Khushian Tere Gird Jhilmalain
Or
Baharoon Se Tera Daman Bhar De.
Ye Sard Shamain Ye Zard Pattay
Ye Mere Qadmon Main Larkharahat
Guzarti Saa’at K In Palon Main
Main Jis Ki Chahat Ko Khojta Hoon
Wo Ja Chuka Hay Meheeno Pehlay
Tapish Thi Jis Ki Lahoo Main Mere
Wo Is December Main Ruk Gayee Hay
Boht Hay Mushkil K Ab Ho Aisa
K Mujhpay Abkay Ye Saal Guzray
December K Maheenay Ka
Woh Shayad Aakhri Din Tha
Baras Guzray Kaee
Maine “Mohabbat” Lafz Likha Tha
Koi Kaghaz K Tukray Par
Achanak Yaad Aaya Hai
Kisi Se Baat Karni Thi
Ussay Kehna Tha Jan-E-Jaan
Mujhay Tumse Mohabbat Hai
Magar Main Keh Nahi Paya
Woh Kaghaz Aaj Tak
Lipta Para Hai Dhool Main Lekin
Kisi Ko Day Nahi Paya
Dobara Chah Kar Bhi Main
Mohabbat Kar Nahi Paya.
Suno December! Usay Pukaro
Suno December! Usay Mila Do
Ab Is Se Pehley K Saal Guzre
Ab Is Se Pehley K Jaan Nikle
Wohi Sitara Meri Lakeeron Mai Qaid Ker Do
Is Akhri Shab K Aakhri Pal Koi Bada Ikhtitam Ker Do
Ye Zindagi Bi Tamam ker Do
Suno December! Usay Bula Do.
Ab Naye Saal Ki Mohlat Nahin Milnay Wali
Aa Chukary Ab To Shab-O-Roz Azabon Walay
Ab To Sab Dashna-O-Khanjar Ki Zuban Boltay Hain
Ab Kahan Log Mohabbat K Nisabon Walay
Zinda Rehnay Ki Tamanna Ho To Ho Jatay Hain
Fakhton K Bhi Kirdar Uqabon Walay
Shayad Khushi Lay Aye Nayaa Anay Wala Saal
Yaa Aur B Begaana Hamain Zindagi Kerday
Es Saal Chahat Aur B Barh Jaeaa Kia Kahaber
Yaa Aur B Diwana Hamain Diwangi Kerday
Guzarta Hua Saal Jaisey Bhi Guzraa
Magar Saal Kay Aakhri Din Nihaayat Kathhin Hain
Suno…!!!
Naye Saal Ki Muskuraati Hui Subha
Yeh Bujhhta Hua Dil Dharakta To Hai
Muskuraata Nahi
December Mujhey Raas Aata Nahi..!!
Ab Ke Sal Kuch Aisa Kerna
Apney Pichley Barah Mah Ke
Dukh Sukh Ka Andaza Kerna
Guzri Yadien Taza Kerna
Sadah Sa Ik Kaghz Le Ker
Bhuley Basrey Pel Likh Laina
Apney Sarey Kal Likh Laina
Phir Us Beetey Ik Ik Pel Ka
Apney Guzrey Ik Ik Kal Ka