Phire reh se wo yahan aate aate
ajal meri rahi tu kahan aate aate
mujhe yaad karne se ye mudda tha
nikal jaye dam hichakiyan aate aate
kaleja mere muh ko aayega ik din
yun hi lab pe aah-o-fugan aate aate
natija na nikala thake sab payami
vahan jate jate yahan aate aate
nahi khel ae “dag” yaron se kah do
ke aati hai urdu zuban aate aate
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : DaaG Dehlvi
Na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota
duboya mujh ko hone ne, na hota main to kya hota
hua jab gham se yun behis to gham kya sar ke katane ka
na hota gar juda tan se to zannon par dhara hota
hui muddat ke ‘ghalib’ mar gaya par yaad aata hai
wo har ek baat pe kahana ke yun hota to kya hota
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib
Tadapate hain na rote hain na hum fariyad karte hain
sanam ke yaad mein har-dam khuda ko yaad karte hain
unhin ke ishq mein hum nala-o-fariyad karte hain
ilahi dekhiye kis din hamen wo yaad karte hain
shab-e-furqat mein kya kya sanp laharate hain sine par
tumhari kakul-e-pechan ko jab hum yaad karte hain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam: Haider Ali Aatish
Na shikayaten na gila kare
koi aisa shakhs hua kare
jo mere liye hi saja kare
mujh hi se baten kiya kare
kabhi roye jaye wo bepanah
kabhi betahasha udas ho
kabhi chupke chupke dabe qadam
mere piche aa kar hansa kare
meri qurbaten meri chahaten
koi yaad kare qadam qadam
main tavil safar mein hun agar
meri vapasi ke dua kare
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Amjad Islam Amjad
Na jana aj tak kya shai khushi hai
hamari zindagi bhi zindagi hai
tere gham se shikayat-si rahi hai
mujhe sach-much badi sharmindagi hai
mohabbat mein kabhi socha hai yun bhi
ki tujh se dosti ya dushamani hai
koi dam ka hun mehaman muh na phero
abhi aankhon mein kuch kuch roshani hai
zamana zulm mujh par kar raha hai
tum aisa kar sako to baat bhi hai
jhalak masumiyon mein shokhiyon ke
bahut rangin teri sadagi hai
ise sun lo sabab is ka na pucho
mujhe tum se mohabbat ho gai hai
suna hai ik nagar hai aansuon ka
usi ka dusara naam aankh bhi hai
wohi teri mohabbat ke kahani
jo kuch bhuli hui kuch yaad bhi hai
tumhara zikr aaya ittefaqan
na bigado baat par baat aa gai hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Firaq Gorakhpuri
qisse teri nazar ne sunaye na phir kabhi
hum ne bhi dil ke daag dikhaye na phir kabhi
ae yad-e-dost aj tu jee bhar ke dil dukha
shayad ye raat hijr ke aaye na phir kabhi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Nasir Kazmi
Na ho gar aashana nahi hota
but kisi ka khuda nahi hota
tum bhi us waqt yaad aate ho
jab koi aasara nahi hota
dil mein kitna sukun hota hai
jab koi muddava nahi hota
ho na jab tak shikar-e-nakami
aadmi kam ka nahi hota
zindagi thi shabab tak “seemab”
ab koi saneha nahi hota
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Seemab Akbarabadi
magasaf zahir hai nigahon se ki hum marate hain
muh se kahate huye ye baat r darate hain
ek tasvir-e-muhabbat hai javani goya
jis mein rangon ke ivaz khunn-e-jigar bharate hain
isharat-e-rafta ne ja kar na kiya yaad hamen
isharat-e-rafta ko hum yaad kiya karte hain
aasman se kabhi dekhi na gai apni khushi
ab ye halat hain ki hum hanste hue darate hain
sher kahate ho bahut khub tum “akhtar” lekin
ache shayar ye suna hai ki jawan marate hain
Poet of the / Ghazal or Nazam :Akhtar Ansari