Dil Se Teree Nigaah
Dil Se Teree Nigaah Jigar Tak Utar Gayee
Donon Ko Ik Adaa Mein Razaamand Kar Gayee
Farda-O-Dee’n Ka Tafarqa Yak Baar Mit Gaya
Kal Tum Gaye Ke Ham Pe Qayaamat Guzar Gayee
Maara Zamaane Ne ‘Asadullah Khaa’n’ Tumhe
Woh Walwale Kahaan, Woh Jawaanee Kidhar Gayee ?
Here is Some Related Poetry or shayari
- Nigaah Ko Apni Lagaam Mei
Ek Roz Hum Se Kehne Lagi Ek Gulbadan Ainak Se Baandh Rakhi Hai Kyun Aap Ne Rasan Milta Hai Kya Isi Se Ye Andaz-E-Fikr-O-Fun Hum Ne Kaha Ki Aisa Nahi Hain Janab-E-Man Baithe Jahan Hasin Hon Ek Bazm-E-Aam Mein Rakhte Hain Hum Nigaah Ko Apni Lagaam Mein…..
so nice