Mera jee hai jab tak teri justaju hai – Khwaja Mir Dard
mera jee hai jab tak teri justaju hai
zaban jab talak hai yahi guftagu hai
khuda jane kya hoga anjam is ka
main besabar itna hun wo tund khu hai
tamanna hai teri agar hai tamanna
teri aarzoo hai, agar aarzoo hai
kiya sair hum ne gulzar-e-duniya
gul-e-dosti mein ajab rang-o-bu hai
ganimat hai ye did wa did-e-yaran
jahan mund gayi aankh, main hun na tu hai
nazar mere dil ki padi “dard” kis par
jidhar dekhata hun wahi ru-ba-ru hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Khwaja Mir Dard
Here is Some Related Poetry or shayari
- Duniya mein kon kon na yak bar ho gaya – Khwaja Mir Dard
Duniya mein kon kon na yak bar ho gaya par muh phir is tarf na kiya us ne jo gaya phirati hai meri khak saba dar-ba-dar liye aye chashm-e-ashkabar ye kya tujh ko ho gaya aagah is jahan mein nahiin gair be khudan jaga wahi idhar se jo mund aankh so gaya tufan-e-noah ne to dubai zamin faqat main nang-e-khalq sari khudai - Jag mein aakar idhar udhar dekha – Khwaja Mir Dard
jag mein aakar idhar udhar dekha tu hi aaya nazar jidhar dekha jan se ho gaye badan khali jis taraf tune aankh bhar ke dekha nala fariyad aah aur zari aap se ho saka so kar dekha un labon ne ke na masihai hum ne sau -sau tarah se mar dekha zor aashiq mizaj hai koi “dard” ko qisa-e-mukhtasar dekha Poet of the Poem / - Mere aansuon pe nazar na kar mera shikwa sun ke khafa na ho – Kaif Akrami
mere aansuon pe nazar na kar mera shikwa sun ke khafa na ho use zindagi ka bhi haq nahi jise dard-e-ishq mila na ho ye inayaten ye navazishen mere dard-e-dil ke dawa nahi mujhe us nazar ke talash hai jo ada shanas-e-vafa na ho tujhe kya bataun main bekhabar ki hai dard-e-ishq mein kya asar ye hai wo latif si - Hazar gardish-e-sham-o-sahar se guzaren hain – Sufi Ghulam Mustafa
hazar gardish-e-sham-o-sahar se guzaren hain wo qafile jo teri rahguzar se guzaren hain abhi havas ko mayyassar nahi dilon ka gudaz abhi ye log muqam-e-nazar se guzaren hain har ek naqsh pe tha tere naqsh-e-pa ka guman qadam qadam pe teri rahguzar se guzaren hain na jane kon si manzil pe ja ke ruk jayen nazar ke qafile divar-o-dar se guzaren hain kuch - Itna tuta hun ki chune se bikhar jayega – Main Nazar
Itna tuta hun ki chune se bikhar jayega ab agar aur dua doge to mar jaunga lekar mera pata waqt rayaga na karo main to banjara hun kya jane kidhar jaunga is taraf dhundh hai jugnu hai na chirag koi kon pahachanega basti mein agar jaunga zindagi main bhi musafir hun teri kashti ka tu jahan mujh se kahegi main utar jaunga yahan