advertise Online Pakistan

Advertisement

Suno Ay Chand Say Sathin

Suno Ay Chand Say Sathin
Abhi Tum Keh Rahay Thay Nan
Tumhain Mujh Say Mohabbat Ho Nahin Saktin

Chalo Maana K Yeh Sach Hain
Magar Ay Chand Say Sathi Mujhay Itna Batao Tumn
K Jab Mausam Badaltay Hain
Gulon Main Rang Bhartay Hainn
To Phir Kiun Muztarib Ho Kern
Akelay Pan Say Ghabra Krn
Hawa Ko Raz Detay Hon
Mujhay Aawaz Detay Hon

Suno Ay Chand Say Sathi
Tumharay Samnay Koe Mera Jab Naam Leta Hain
To Phir Kiun Chonk Jatay Hon

Chalo Maana Tumhain Mujh Say Mohabbat Ho Nahin Saktin
Magar Itna Samajh Lo Tum
Jahan Chahat Nahin Hotin
Wahan Nafrat K Honay Ka Koe Imkaan Nahin Hotan

Mera Daawa Hain
Chahat Main Jahan Nafrat Nahin Hotin
Wahan Aksar Yeh Dekha Hai
Agar Kuch Waqt Kat Jaye
Samay Ki Dhool Chat Jaye

To Wehshat Bhaag Jati Hai
Mohabbat Jaag Jati Hai !!!!

Here is Some Related Poetry or shayari
    None Found

Advertisement



One Response to “Suno Ay Chand Say Sathin”

  1. md chand..... says:

    kaha tha na ! ke
    yun sote huye chord k
    mat jaana…..
    bta dena…!
    bta dena ke tum ja rhi ho
    muje chord kar..
    waada apna tod ke…
    kaha tha na ! ke
    yun sote huye chord ke mat jaana…
    muje besak jaga dete
    mai tumko dekh leta
    tumhe jaane nhi deta
    kahin pe kaid kar leta
    tumhe koi duwa deta…
    kaha tha na..! ke
    yun sote huye chord ke
    mat jaana…..
    tumhe rstaa badalna hai,
    meri hud se nikalna,
    tumhe kis baat ka dar tha.
    are pagal..!
    muhabbat ki tabiyyat me,
    jabardasti nhi hoti.

    jise rsta badalna ho,
    use rasta badalne se,
    jise hud se nikalna ho
    use hud se nikalne se,
    na koi rok paya hai,
    nnaa koi rok payega…
    kaha tha. na !..ke
    yun sote huye chord ke
    mat jaana….
    kaha tha na….!!
    ke waada utna hi karo ,
    jitna ke tum nibha sako,
    sach hi kaha hai kisi ne…..
    mat chaho use,
    jise tum paa na sako,,
    tum jo gayi ho,
    muje chord kar,
    ye jindagi to ab,
    udasiyon ki njr ban chuki hai….
    kaha tha na ! ke
    yun sote huye chord ke mat jaana..
    kaha tha na…..!!!
    kaha tha na….!!!

Share Your Poetry / Shayari