Kabhi Hum Tute Toh Kabhi Khwaab
Kabhi Hum Tute Toh Kabhi Khwaab Tute
Na Jane Kitne Tukdo Mein Armaan Tute
Har Tukda Aaina Hai Zindgi Ka
Har Aaine Ke Saath Laakhon Jazbaat Tute..
Share By : Bindu Mahajan
|
Kabhi Hum Tute Toh Kabhi Khwaab Tute
Na Jane Kitne Tukdo Mein Armaan Tute
Har Tukda Aaina Hai Zindgi Ka
Har Aaine Ke Saath Laakhon Jazbaat Tute..
Share By : Bindu Mahajan
Juda Juda Sa Milta Hai Mujhko Har Ek Shaks
Chehare Par Hote Hai Sabke Yaadon Ke Kuchh Naksh
Halat Kuchh Aisi Hai Ke Dil Kee Yaaro
Jaise Jalte Aaine Mai Bhujha Hua Sa Aks
Share By : Diksha Mahajan
Tum Haqeeqat Nahi Ho Hasrat Ho
Jo Mile Khawab Mein Wahi Doulat Ho
Kis Liye Dekhti Ho Aaina
Tum To Khud Se B Jyada Khubsurat Ho
Unko Aaina Banaya, Dhoop Ka Chehra Mujhe
Rasta Phoolon Ka Sabko Aag Ka Dariya Mujhe
Chaand Chehra, Zulf Dariya, Baat Khushboo, Dil Chaman
Ik Tumhe Dekar Khuda Ne De Diya Kya-Kya Mujhe
Jis Tarah Vaapas Koi Le Jaaye Apni Chhuttiyan
Jaane Wala Is Tarah Se Kar Gaya Tanha Mujhe
Bhool Jana Bhi Usay Yaad bhi Kartay Rehna,
Acha Lagta Hai Isi Dhun Mein Bikhartay Rehna,
hijar walon Se Bari Dair Se Sikha Humne,
Zinda Rehnay K Liye Jan Se Guzartay Rehna,
Kya Kahun Q Mere Neendon Me Khalal Dalta Hai,
Chand K Aks Ka Pani Mein Utartay Rehna,
Main Agar Toot Bhi Jaon Toh Phir Aaina hoon,
Tum Mere Baad Bhi har Roz Sanwartay Rehna,
Shaam Ko Doobtay Suraj Ki Hai Aadat,
Subha Hotay Hi Mere Sath Ubhartay Rehna…….!!