advertise Online Pakistan

Posts tagged: Anees Ansari Shayari

Tumhare gham ka mausam hai abhi tak – Anees Ansari

Tumhare gham ka mausam hai abhi tak
lab-e-tashna pe shabanam hai abhi tak

safar mein aabale hi aabale the
magar pairon mein dam-kham hai abhi tak

tumhare band dar mujh se khafa hain
mere jine ka matam hai abhi tak

teri aab-o-hava ras aa gai thi
bichad jane ka kuch gham hai abhi tak

gai rut mein hui thi fasl achi
idhar panii gira kam hai abhi tak

main khud ko dhundhata phirta hun sab mein
junun ka ik aalam hai abhi tak

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Anees Ansari


Advertisement





Anees Ansari Shayari, poems and Ghazals