advertise Online Pakistan

Posts tagged: Anwar Shaoor Shayari

Wo gulfarosh kahan ab gulab kis se lun – Anwar Shaoor

Wo gulfarosh kahan ab gulab kis se lun
nahi raha mera saqi sharab kis se lun
teri talash mein is umr-e-mustu’ar ke saal
jo rayegan gaye un ka hisab kis se lun
hayat khud hai saval aur khud javab apna
saval kis se karun main javab kis se lun
kisi ke naam jo mansub abhi nahi ke thi
main apni khoi hui wo kitab kis se lun
tumhare bad na dekhun tumhare jaison ko
to ye shabin ye umangen ye khwab kis se lun
nashakashi se bi le lun ‘shaoor’ aj magar
wo roz-e-abr-o-shab-e-mahatab kis se lun

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Anwar Shaoor

Kai marhale aur sar karne hain – Anwar Shaoor

Kai marhale aur sar karne hain
abhi to bahut se safar karne hain
badi aur neki yaqin aur shak
hain jitne bhi aib-o-hunar karne hain
hatheli pe rakhte hain apna kafan
jinhen apna jivan amar karne hain
sitam hai ki duniya ke kitne hi kam
zaruri nahi hain magar karne hain
karoge kabhi tark bhi tak-jhank
ki ye silsile umr bhar karne hain
bahut sakht mausam hai lekin ‘shaoor’
kisi taur ye din basar karne hain

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Anwar Shaoor


Advertisement





Anwar Shaoor Shayari, poems and Ghazals