chandani chat pe chal rahi hogi
ab akeli tahal rahi hogi
phir mera zikr aa gaya hoga
wo barf-si pighal rahi hogi
kal ka sapana bahut suhana tha
ye udasi na kal rahi hogi
sochata hun ki band kamare mai
ek shama-si jal rahi hogi
tere gahanon si khankhanati thi
bajare ke fasal rahi hogi
jin havaon ne tujh ko dularaya
un mai meri gazal rahi hogi
Poet of the poem/ghazal or nazam : Dushyant Kumar
Maine Kabhi Ek Chand Ko Pana Chaha Tha
Us Dur Akash Ke Ek Sitare Ko Gale Lagana Chaha Tha
In Namumkin Si Chizo Ko Main Mumkin Banane Chala Tha
Jane Kyu Us Din Main Kisi Se Dil Lagane Ko Chala Tha
Tags: Akash Shayari, Akash Sms, Chahat Hindi SMS, Chahat Shayari Hindi, Chand Shayari, Chand SMS, Chand SMS Shayari, Dil Lagane Ko Chala Tha, Pana Chaha Tha, Poetry on Chahat, Sitare Shayari, Sitare Sms Shayari
Koi Chaand Sitara Hay
Koi Phool Se Pyara Hay
Koi Khushi Ka Ishara Hay
Koi Dil Ka Sahara Hay
Tumhai’n Itna Batana Hay
Wo Naam Tumhara Hay
Wohi Hasta Howa Chand Ye Pur Noor Sitare
Tabinda Wa Painda Hain Zaroo Ke Sahare
Magar Ek Sitara Meharban
Kaii Chand Dund Mein Kho Gaye
Kaii Jag Jag Ke So Gaye
Magar Ek Sitara Meharban
Jo Gawah Tha
Chamak Raha Hai Jo Ek Sitara Nahi Rahe Ga
Kisi Ke Hum Aur Koi Hamara Nahi Rahe Ga
Charaag Roshan Na Reh Sake Ge Kahii Zameen Per
Sar-e-Samawaat Ek Sitara Nahi Rahe Ga
Tariq Hashmi
Sitara Hoon Magar Yoon Hai Chamakna Bhool Betha Hoon
Mein Khud Apne Taar’uf Ka Hawala Bhool Betha Hoon
Jisse Mad-e-Nazar Rakh Kar Chala Tha Janib-E-Manzil
Safar Ke Darmiyaan Mein Wo Sitara Bhool Betha Hoon
Taimoor Hassan