advertise Online Pakistan

Posts tagged: Charag Hasan Hasrat Poetry

Ya rab! gam-e-hijran mein itna to kiya hota – Charag Hasan Hasrat

Ya rab! gam-e-hijran mein itna to kiya hota
jo hath jigar pe hai wo dast-e-dua hota

ik ishq ka gham aafat aur us pe ye dil aafat
ya gham na diya hota ya dil na diya hota
gairon se kaha tum ne gairon se suna tum ne
kuch hum se kaha hota kuch hum se suna hota
umeed to bandh jati taskin to ho jati
wada na wafa karte wada to kiya hota
nakam-e-tamanna dil is soch mein rehta hai
yun hota to kya hota yun hota to kya hota

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Charag Hasan Hasrat

Tujhe dhundhata tha main char-su – Charag Hasan Hasrat

Tujhe dhundhata tha main char-su
teri shan jalle jalal hun
tu mila qarib-e-khoj lun
teri shan jalle jalal hun
teri yaad mein hai kali-kali
hai chaman chaman mein hubal ali
tu basa hai phul mein hu-ba-hu
teri shan jalle jalal hun
tere hukm se jo hawa chali
to chatak ke boli kali-kali
hai karim tu rahim tu
teri shan jalle jalal hun
tera jalva donon jahan mein hai
tera nur donon makan mein hai
yahan tu hi vahan tu hi tu
teri shan jalle jalal hun

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Charag Hasan Hasrat

Duniya se dil lagakar duniya se kya milega – Charag Hasan Hasrat

Duniya se dil lagakar duniya se kya milega
yad-e-khuda kiye ja tujh ko khuda milega
daulat ho ya hukumat taqat ho ya javani
har cheez mitane vali har cheez aani-jani
ye sab gurur ik din matti mein ja milega
aata nahi palatakar guzra hua zamana
kya khwab ka bharosa kya maut ka thikana
ye zindagi ganva kar kya fayeda milega

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Charag Hasan Hasrat


Advertisement





Charag Hasan Hasrat Poetry, poems and Ghazals