advertise Online Pakistan

Posts tagged: Ghulaab Shayari

Tumhari Is Ada Ka Kya Jawaab Du

Tumhari Is Ada Ka Kya Jawaab Du
Apna Dost Ko Uphaar Kya Du
Koi Acchha Sa Phool Hota Toh Mali Se Mangva Lete
Jo Khud Gulaab Ho., Usko Kya Gulaab Du

Qabr Pay Ghulaab Mat Lana

Tu Meri Qabr Pay Lay Kar Ghulaab Mat Aana
Zamana Mangey Ga Mujh Say Hisaab Mat Aana

Sabhi Khatayen Teri Apney Sar Main Lay Loon Ga
Kisi Sitam Ka Tu Denay Jawab Mat Aana

Meri Lehad Main Andhera Hi Main Nay Chaha Tha
Tu Meri Qabr Pey Ab Bay Naqaab Mat Aana

Sabhi Qabr Kay Azabon Ki Laaj Rakh Loon Ga
Main Sah Na Paaoun Ga Aisa Azaab Mat Aana

Buhat Taweel Si Muddat Kay Baad Soya Hoon
Meri Nigaah Main Ban Kar Khuwab Mat Aana

Warq Warq Pey Tum Apna Hi Naam Pao Gay
Go Phir Bhi Parhney Ko Dil Ki Kitaab Mat Aana

Behak Na Jaoun Farishton Kay Samney Janaan
Buhat Haseen Hay Tera Shabaab Mat Aana

Meri Duayen Teray Sar Pey Saaya Daar Rahen
Mera Khuda Tujhay Dey Ga Sawaab , Mat Aana

Yah Ab Nigahon Say Ashkon Kay Jaam Peeta Hay
Mere Kay Waastey Lay Kar Sharab Mat Aana


Advertisement





Ghulaab Shayari, poems and Ghazals


Ghulaab Shayari shayari sms in Urdu for your friends. Ghulaab Shayari poetry , ghazal , poem and sher o shayari in Hindi. Best 1 line , 2 line and 4 line Ghulaab Shayari shayari Collection Online.