advertise Online Pakistan

Posts tagged: Islamic Poetry

Islamic shayari

 

Nawaza jo kuch bhi mere Khuda ne mujhe,
Peechey waseela mere sarkaar ka hai,

Gaye jo aap “Sidratul-Muntaha” se bhi agey,
Rutbaa kitna ooncha mere sarkaar ka hai,

Ghulami-e-Rasool mein baha de gaye lahuu bhi apna,
Mera jism, Meri rooh, Sabhi mere sarkaar ka hai..

 

 

Aankhon Ko Ho Sakay To Zara Ashkbaar Rakh
Paiwastah Rah Shajar Se Ummeed-E-Bahar Rakh
Gham Se Jo Hai T-Alluq Usay Ustwaar Rakh
Rakhna Hi Hai Agar To Dil-E-Sogwaar Rakh
Sarchashma Terey Dil Main Muhabbat Ka Hai Agar
Sookhay Har Aik Hont Pe Aansoo Ki Dhaar Rakh
Aiy Maut Zindagi Ka Abhi Haath Main Hai Haath
Thamoonga Tera Haath Bhi, Tu Aitbaar Rakh

 

Beeta hai jo mere upar
Apne pyare nabi ko sunaon ga
Darood partha hua jab mein madine jaoga
Rootay rootay apna haal sunaao ga
Jab un kay qadam mubarak ki jali ko haath lagao ga
Namaz parnhay jab masjid e nabwi jaon ga
Apney ap ko un kay hawalay dey kar ayo ga
Ae kash mujhe mout a jaye
Yeh kah kar un ki chohkat say lout jayo ga
Apnay gunaho ko bakshavnay kay liye
apne dil ko azmnay kay liye dey ao ga
apni rooh ko sambhal jane kay liye
Apnay aqa kay mazaar par ja kar
Maafi mango ga apni har hatha par
Qali qameli wale ko batao ga apne khaalat
Kia kia beeti hain uski umaat kay
opaar unkay bichaar janay kay baad
Apni chahat ka izhaar karnay kay liye
Aaqa ka deedar karnay kay liye
So jaon ga unki chohkat par
Maafi ki talaab kay liye

 

Share with us more ..Islamic shayari .in comments section below

Islamic sher

Jo Kahin Na Mile Wo Khushi Chahiye
Dard Kaisa Be Ho Bandagi Chahiye

Mujhko Duniya Ki Ab Koi Khuwahish Nhi
Aakhrat Ki Mujhe Zindagi Chahiye

Tere He Aage Haath Phelaon
Ab Aysi Allah Mujhe Bebasi Chahiye

Tu Ho Jaye Raazi Sanwar Jaun Main
Mere Malak Aagahi Chahiye

Main Jhukun Or Jhukun Bus Jhuka He Rahun
Ibbadat Me Bus Ye Aajizi Chahiye

Main Bhatak Jaun To Aasra Dey Mujhe
Aesi ALLAH Mujhe Rehbari Chahiye

 

Jahan Jahan Bhi Ujala Dekhai Deta Hai,
Mere Huzoor Ka Jalwa Dekhai Deta Hai,
Yeh Aarzu Hai Waheen Jaa Ke Mera Dum Nikle,
Jahan Se Gumbad-e-Khazra Dekhai Deta Hai

 

Meri Baat Ban Gaye Hai,

Aaqa Teri Baat Karte Karte,

Sheher Main Me Aao,

Aaqa Teri Naat Parte Parte

Share with us more Islamic sher .in comments section below.

Islamic sher o shayari

 Akhbaar aur risaalon ko palkon pe rakhliya
Allah ki kitaab ko taaqon mein rakhdiya
Muslim ke haathon hoti hai zillat Quran ki

 

Sarr Gair Ke Aage Na Jhukaane Vaala
Aur Nezey Pe Bhi Quraan Sunaane Vaala
Islam Se Kya Poochte Ho Kaun Hussain
Islam Ko Islam Banaane

 

Ramadhan ke maheene mein Allah ke qareeb
Gyaarah maheene hum to hain shaitaan ke qareeb
Bolo kahaan se paayenge barkat Quran ki

 

Share with us more Islamic sher o shayari in comments section below.

Shams-O-Qamar Aur Taaray,

Shams-O-Qamar Aur Taaray,
Kyun Na Hon Khush Aaj Saaray,
Unsay He To Noor Paaya,
Aaqa Ka Milad Aaya.
Khushiyan Manatay Hain Wohi,
Dhoomain Machatay Hain Wohi,
Jin Par Hua Unka Saaya,
Aaqa Ka Milad Aaya.
Ghar Ko Sajatay Hain Wohi,
Jhanday Lehratay Hain Wohi,
Jin Par Hua Unka Saaya,
Aaqa Ka Milad Aaya.
Hai Shaad Har Ek Muslimaan,
Karta Hai Ghar Ghar Charaghaan,
Galiyoon Ko Bhi Jagmagaya,
Aaqa Ka Milad Aaya.
Mukhtar-E-Kul Maanay Jou Unhein,
Noori Bashar Jaanay Jou Unhe,
Naara Ussi Nay Lagaya,
Aaka Ka Milad Aya

Eid Milad Shayari

Eid Milad Shayari

Naqshe Qadam Nabi (S.A.W) K Hn Jannat K Raaste
Allah Se Milate Hn Sunnat K Raast

islamic shayeri rabiul awwal sms

islamic shayeri rabiul awwal sms
Dunia Ki Har Fiza Me Ujala RASOOL Ka
Ye Sari Kainaat Hay Sadqa RASOOL Ka
Khushboo Ghulab Ki Hay Pasina RASOOL Ka
Aapko Ho Mubarak Mahina RASOOL Ka
Rabi-Ul-Awal
Mubark Ho..!
(islamic shayeri rabiul awwal sms)

eid milad ashyaar

eid milad ashyaar
He Aj Barwi Ke Rat. .
He Aj Khushyo Ke Rat. .
Aufaq Pe Chamka Ik Rosan Tara. .
Mit Gya Jahan Se Zulam Sara. .
He
Khulk Ka Khaliq Khuda Ke Zat. .
He Khalq Ka Sabab Bus Apke Zat. .
He Dunya Ka Kabba Baitullah. .
He Kabba Ka Kabba Ap
Ke Zat. .
AAQA Ke Sanah Kaese Krega Tu .
Jis Zat Ke Lie Na Ho Tere Pas Kuch Alfaz. .
(eid milad ashyaar)

Ya Allah Is Chand Ko Hum Per Barkat Ke Sath

Ya Allah
Is Chand Ko Hum Per Barkat Ke Sath
Aur
Emaan O Salamti Aur
Islam Aur
Is Cheez Ki Toufeeq Ke Sath Nikal
Jis Se Tu Razi Hota Hai
Aur
Pasand Farmata Hai

Ae Pehli Raat Ke Chand

Mera Aur Tera Rab
Allah Az-O-Jal Hai

1 2

Advertisement





Islamic Poetry, poems and Ghazals