Ye jo hum hijr mein divar-o-dar ko dekhte hain
kabhi saba ko kabhi namabar ko dekhte hain
wo aaye ghar mein hamare khuda ke kudarat hai
kabhi hum un ko kabhi apne ghar ko dekhte hain
nazar lage na kaheen usake dast-o-bazu ko
ye log kyon mere zakhm-e-jigar ko dekhte hain
tere javahir-e-tarf-e-kulah ko kya dekhen
hum auj-e-tala-e-lal-o-guhar ko dekhte hain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib
Wo firaq aur wo visal kahan
wo shab-o-roz-o-mah-o-sal kahan
fursat-e-karobar-e-shauq kise
zauq-e-nazzara-e-jamal kahan
dil to dil wo dimag bhi na raha
shor-e-sauda-e-khat-o-khal kahan
thi wo ik shakhs ke tasavvur se
ab wo rannai-e-khayal kahan
aisa aasan nahi lahu rona
dil mein taqat jigar mein hal kahan
hum se chuta qimarkhana-e-ishq
van jo jayen girah mein mal kahan
fikr-e-duniya mein sar khapata hun
main kahan aur ye vabal kahan
muzamahil ho gaye quva ‘ghalib’
wo anasir mein aitadal kahan
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib
wo aake khwab mein taskin-e-iztirab to de
wale mujhe tapish-e-dil majal-e-khwab to de
kare hai qatl lagavat mein tera ro dena
teri tarah koi teg-e-nigah ko aab to de
dikhake jumbish-e-lab hi tamam kar hamako
na de jo bosa to muh se kaheen javab to de
pila de oak se saqi jo hum se nafrat hai
pyala gar nahi deta na de, sharab to de
‘asad’ khushi se mere hath panv phul gae
kaha jo us ne zara mere panv dab to de
poet of the poems/ghazal or nazam:mustafa zaidi
Poet of the Poems/Ghazal or Nazam:Mirza Ghalib
Ye na thi hamari qismat ke visal-e-yar hota
agar aur jite rehte yahi intazar hota
tere wade par jiye hum to ye jan jhooth jana
ke khushi se mar na jate agar aitabar hota
teri nazuki se jana ki bandha tha ahdboda
kabhi tu na tod sakata agar ustavar hota
koi mere dil se puche tere tir-e-nimakash ko
ye khalish kahan se hoti jo jigar ke par hota
ye kahan ke dosti hai ke bane hain dost naseh
koi charasaz hota, koi gamgusar hota
rag-e-sang se tapakata wo lahu ki phir na thamata
jise gham samajh rahe ho ye agar sharar hota
gham agarche jangusil hai, pe kahan bachen ke dil hai
gam-e-ishq gar na hota, gam-e-rozagar hota
kahun kis se main ke kya hai, shab-e-gam buri bala hai
mujhe kya bura tha marana agar ek bar hota
hue mar ke hum jo rusava, hue kyon na garq-e-dariya
na kabhi janaza uthata, na kaheen mazar hota
use kon dekh sakata ki yagana hai wo yakta
jo dui ke bu bhi hoti to kaheen do char hota
ye masail-e-tasavvuf, ye tera bayan ‘ghalib’
tujhe hum wali samajhate, jo na badakhvar hota
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib
Tu dost kisi ka bhi sitamgar na hua tha
auron pe hai wo zulm ki mujh par na hua tha
choda mah-e-nakhshab ke tarah dast-e-qaza ne
khurshid hanoz us ke barabar na hua tha
taufiq ba andaz-e-himmat hai azal se
aankhon mein hai wo qatara ki gohar na hua tha
jab tak ke na dekha tha qad-e-yar ka aalam
main motaqid-e-fitana-e-mahashar na hua tha
main sada dil aazurdagi-e-yar se khush hun
yani sabaq-e-shauq mukarrar na hua tha
dariya-e-maasi tunuk abhi se hua khushk
mera sar-e-daman bhi abhi tar na hua tha
jari thi asad dag-e-jigar se mere tahasil
aatashqada jagir-e-samandar na hua tha
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib
Zikr us parivash ka, aur phir bayan apna
ban gaya raqib aakhir tha jo razdan apna
mein wo kyon bahut pite bazm-e-ghair mein yarab
aj hi hua manzur un ko imtihan apna
manzar ik bulandi par aur hum bana sakate
arsh se idhar hota kash ke makan apna
de wo jis qadar zillat hum hansi mein talenge
bare aashna nikala unaka pasaban apna
dard-e-dil likhun kab tak? jaun un ko dikhala dun
ungaliyan figar apni khamakhunchakan apna
ghisate ghisate mit jata aap ne abas badala
nang-e-sajda se mere sang-e-astan apna
ta kare na gamazi, kar liya hai dushman ko
dost ke shikayat mein hum ne ham-zaban apna
hum kahan ke dana the kis hunar mein yakta the
besabab hua ‘ghalib’ dushman aasman apna
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib
Shikave ke naam se bemehar khafa hota hai
ye bhi mat kah ke jo kahiye to gila hota hai
pur hun main shikave se yun rag se jaise baja
ik zara chediye phir dekhiye kya hota hai
go samajhata nahi par husn-talafi dekho
shikava-e-jaur se sar-garm-e-jafa hota hai
ishq ke reh mein hai charkh-e-makaukab ke wo chal
sust-rau jaise koi aabalapa hota hai
q na thaharen hadaf-e-navak-e-bedad ke hum
aap utha late hain gar tir khata hota hai
khub tha, pahale se hote jo hum apne bad-khvah
ke bhala chahate han aur bura hota hai
nala jata tha pare arsh se mera aur ab
lab tak aata hai, jo aisa hi rasa hota hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib
Zahar-e-gam kar chuka tha mera kam
tujh ko kis ne kaha ke ho badanam
mein hi phir kyo na main piye jaun
gham se jab ho gai hai zist haram
bosa kaisa ye hi ganimat hai
ke na samajhe wo lazzat-e-dushnam
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib