advertise Online Pakistan

Posts tagged: Qabr Shayari

sher on eid milad un nabi mubark in Urdu

Buhot muqaddas hai merey Peyary Nabi{S.A.W.W} k Qadmo’n ki Dhool.
kash k is Dhool ka koi zarra meri Qabr ki zeenat ban jaye.
(Aamein)

(sher on eid milad un nabi mubarak in Urdu)

Qabr Pay Ghulaab Mat Lana

Tu Meri Qabr Pay Lay Kar Ghulaab Mat Aana
Zamana Mangey Ga Mujh Say Hisaab Mat Aana

Sabhi Khatayen Teri Apney Sar Main Lay Loon Ga
Kisi Sitam Ka Tu Denay Jawab Mat Aana

Meri Lehad Main Andhera Hi Main Nay Chaha Tha
Tu Meri Qabr Pey Ab Bay Naqaab Mat Aana

Sabhi Qabr Kay Azabon Ki Laaj Rakh Loon Ga
Main Sah Na Paaoun Ga Aisa Azaab Mat Aana

Buhat Taweel Si Muddat Kay Baad Soya Hoon
Meri Nigaah Main Ban Kar Khuwab Mat Aana

Warq Warq Pey Tum Apna Hi Naam Pao Gay
Go Phir Bhi Parhney Ko Dil Ki Kitaab Mat Aana

Behak Na Jaoun Farishton Kay Samney Janaan
Buhat Haseen Hay Tera Shabaab Mat Aana

Meri Duayen Teray Sar Pey Saaya Daar Rahen
Mera Khuda Tujhay Dey Ga Sawaab , Mat Aana

Yah Ab Nigahon Say Ashkon Kay Jaam Peeta Hay
Mere Kay Waastey Lay Kar Sharab Mat Aana


Advertisement





Qabr Shayari, poems and Ghazals


Qabr Shayari shayari sms in Urdu for your friends. Qabr Shayari poetry , ghazal , poem and sher o shayr in Hindi. Best 1 line , 2 line and 4 line Qabr Shayari shayari Collection Online.