Bewafa text Shayari
Us k Chehry Per is Qadar Noor Tha
K Us ki Yaad Mein Rona bhi Manzoor Tha
Bewafa B Nahi keh Sakty us ko Faraz
Pyar to ham ne Kia Hai Woh to Bekasoor Tha
|
Us k Chehry Per is Qadar Noor Tha
K Us ki Yaad Mein Rona bhi Manzoor Tha
Bewafa B Nahi keh Sakty us ko Faraz
Pyar to ham ne Kia Hai Woh to Bekasoor Tha
Tum Agar Yaad Rakho Gey to Inayat Hogi,
Warna ham ko Kahan Tum se Shikayat Hogi,
Ye to Bewafa logon ki Dunya hai,
Tum agar Bhool b Jao to Riwayat Hogi.
Aag Dil Me Lagi Jab Wo khafa Hue
Mehsoos hua Tab, Jab Wo Juda Hue
Kar K Wafa Kuch De Na Sake Wo
Per Bahut Kuch De Gaye Jab Wo Bewafa Hue
Har samandar ka ek kinara hota hai,
har rat ka ek savera hota hai,
kyun kar raha hai ye julm a khuda,
kyun har bewafa ka ek diwana hota hai!!
Baheti hui naadi mein unka peaas hain
jalti hui shama mein unki gharmi ka ehesaas hain
kisi aur ke saath ghar basa liya humne
seene mein basi wahi bewafa pyar ka zeher ki raas hain
Jaathe jaathe humpe ek ehsaantho karjaathe
Thoda zeher apne haathonse dejaathe
Aakhri deedaartho karlethe
Hamare janaaze ko khaandatho dejaathe!
Jaan kar bhi wo mujhe jaan na paye,
aaj tak wo mujhe pehchaan na paye,
khud he kr li bewafai humne,
taaki unpar koi ilzaam na aaye…
Hamain Na Muhabbat Mili Na Pyar Mila
Hum ko Jo Bhi Mila Bewafa Yaar Mila
Apni to Ban Gai Tamasha Zindagi.
Har koi Apny Maqsad ka Talabgar Mila