Dil ka dard subah sham humne kata hai
unse dil lagane ka pal yaad aata hai,
woh toh humhe bhul ker kahin or kho gaye,
dil humaara hai unhe bhula bhi nahi pata hai.
Khusbouon ki tarha meri har saans mein
pyaar apna basane ka wada karo
rang jitne tumhari mohabbat ke hain
mere dil mein sajane ka wada karo
hai tumhari wafaon pe mujhko yakeen
phir bhi dil chahta hai mere dil nasheen
yoonhi meri tasalli ki khatir zara
mujhko apna banane ka wada karo
jab mohabbat ka iqrar karte ho tum
dhadkano mein naya rang bharte ho tum
baarha kar chukay ho, magar aaj phir
mujhko apna banane ka wada karo
sirf lafzon se iqrar hota nahi
ik janib se hi pyaar hota nahi
main tumhein yaad rakhne ki khaoon kasam
tum mujhko na bhulane ka wada karo
Lazawaab shayari Dost bde pyaare shabad h….
Mgar ek jagah to ‘aapa’ ho gya h use ‘aapka’ kro.
Share with us more .Wada shayari .in comments section below
gazab kiya, tere wade pe aitabar kiya
tamam raat qayamat ka intezar kiya
hansa hansa ke shab-e-vasl ashk-bar kiya
tasalliyan mujhe de-de ke beqarar kiya
hum aise mahv-e-nazara na the jo hosh aata
magar tumhare tagaful ne hoshiyar kiya
fasana-e-shab-e-gam un ko ek kahani thi
kuch aitabar kiya aur kuch na-aitabar kiya
ye kis ne jalva hamare sar-e-mazar kiya
ki dil se shor utha, hae! beqarar kiya
tadap phir ae dil-e-nadan, ki gair kahate hain
aakhir kuch na bani, sabr ikhtiyar kiya
bhula bhula ke jataya hai unko raz-e-nihan
chipa chipa ke mohabbat ko aashakar kiya
tumhen to vada-e-didar hum se karana tha
ye kya kiya ke jahan ko ummidavar kiya
ye dil ko tab kahan hai ke ho malandesh
unhone wada kiya hum ne aitabar kiya
na puch dil ke haqiqat magar ye kahate hain
wo beqarar rahe jisne beqarar kiya
kuch aage davar-e-mahashar se hai umeed mujhe
kuch aap ne mere kahane ka aitabar kiya
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Daag Dehlvi
chahat ka ek mitha mitha dard jagane sham dhale
teri yaden aa jati hain mujhako rulane sham dhale
teri zulfen in kandhon par tera chehara hathon mein
main ne bhi dekhe hain kitane khvab suhane sham dhale
har din hum se wada karake yun hi agar tadapaoge
ik din yun hi ho jayenge hum bhi divane sham dhale
din ke ujale mein to mana lun lakh yatan se bahala lun
lekin dil ka pagal panchi ek na mane sham dhale
Poet of the poem/ghazal or nazam : Hasan Imam
Kuch Ajab Shaan Se Logon Mein Raha Karte The,
Hum Khafa Reh Ke Bhi Aapas Mein Mila Karte The,
Itni Tehzeib Rah-O-Rasm To Baaki Thi Ke Wo,
Laakh Ranjish Sahi Wada To Wafa Karte The,
Usne Poocha Tha Kai Baar Magar Kiya Kahiye,
Hum Mizajann Hi Pareshaan Raha Karte The,
Read more »
Wada Na Karo Agar Tum Nibha Na Sako,
Chaho Na Usko Jise Tum Pa Na Sako,
Dost To Duniya Me Bahot Hote Hai,
Par Ek Khas Rakho Jiske Bina Tum Muskura Na Sako
Tere Hijran Se Ta’aluq Nibhane K Liye
Humney Is Saal Bhi Jeenay Ki Kasam Khai Hy
Wada Karte Hain Dosti Nibhayenge
Koshish Yahi Rahegi Tujhe Na Satyaenge
Zarurat Pade Toh Dil Se Pukarana
Mar Bhi Rahe Honge To Mohlat Lekar Aayenge