advertise Online Pakistan

Advertisement

Yoon Hosla Dil Nay Hara Kab Tha

Yoon Hosla Dil Nay Hara Kab Tha
Sartaan Mera Setara Kab Tha

Lazim Tha Guzarna Zindagi Say
Bin Zehar Piyey Guzara Kab Tha

Kuch Pal Usay Dekh Saktay
Ashkoon Ko Mager Gawara Kab Tha

Ham Khud Bhi Judaii Ka Sabab Thay
Us Ka He Qasoor Sara Kab Tha

Ab Ouroon Kay Sath Hai Tu Kia Dukh
Phelay Bhi Koee Hamara Kab Tha

Ak Naam Pay Zakham Khil Uthay
Qatil Ke Taraf Eshara Kab Tha

Ayey Ho Tu Roshni Hoee Hai
Is Baam Main Koee Setara Kab Tha

Dekha Howa Ghar Tha Har Kese Nay
Dulhan Ke Tarah Sanwara Kab Tha

Here is Some Related Poetry or shayari
    None Found

Advertisement



Share Your Poetry / Shayari