La illah ko bachaya Fatima kay laal nay
|
La illah ko bachaya Fatima kay laal nay.
Deen zinda kaar dekhaya (x2) Fatima kay laal nay
1 ) Khainchli Akbar ki barchi jurat o’ himaat kay saath
Apni ankhain bhi na bandhi aur na baitay kay haath
Aik aansu na bahaya Fatima kay laal nay.
2 ) Dekh kaar sabar-e-Hussaini ambiya ronay lagay
Rotay rotay yon khalil ullah say kehnay lagay
Ap kah waada nibhaya Fatima kay laal nay.
3 ) Ladala hoon Murtaza ka aur hoon ibnay Rasool
Main jhukon batil kay agay yeh nahin mujh ko qabool
Faisala apna sunaya Fatima kay laal nay.
4 ) Deen ka daman baaqa ki naimaton say bhaar deya
Akhiri sajda khuda ay lum-yazal ko kaar deya
Saar sajday say uthaya Fatima kay laal nay.
5 ) Sabar say jabar o’ sitam ki toor daali haar umeed
Zulam saray say liya lakin na ki bait-e-Yazid
Saar usoolon paar kataya Fatima kay laal nay.
6 ) Chay mahenay kay pisar ko kaar kay hathon say dafaan
Aay khuda teri raza yak eh raha ta bay watan
Honsala apna bataya Fatima kay laal nay.
7 ) Zakham say kaar sukhar karta ta Sakina ka pidar
Ro rahay tay arsh walay yeh nizara dekh kaar
Arsh walon ko rulaya Fatima kay laal nay.
8 ) Matami Touqeer tumko day raha hay yeh dua
Apni ankhon say tu dekhay wo deyaar-e-karbala
Jis pay apna ghaar lutaya Fatima kay laal nay.
Similar Posts:
- Zakham say kaar sukhar karta ta Sakina ka pidar
- Tujhko dekhe bina, chain aata nahin
- Ab toh Ghazi ko do sada ZainabAb toh Ghazi ko do sada Zainab
- Ab toh Ghazi ko do sada Zainab
- Sajday mai jisne apne saar ko kataya.
- Ya Hussainan ya gharibun ya zabeehun bekhata
- Woh Kaaba Ko Bachany Wale
- Phool bahatar diye raahe khuda mai
