Sahaab Tha Ke Sitaara, Guraiz Paa Hee Laga
|
Sahaab Tha Ke Sitaara, Guraiz Paa Hee Laga
Wo Apni Zaat Ke Har Rang Mein Hawa Hee Laga
Mein Aisay Shakhs Ki Masoomiyat Pe Kia Likhuun ?
Jo Mujh Ko Apni Khataaon Mein Bhee Bhalaa Hee Laga
Zabaa.n Se Chup Hai Magar Aankh Baat Karti Hai
Nazar Uthaayi Hai Jub Bhee Tou Bolta Hee Laga
Jo Khwaab Dene Pe Qaadir Tha, Meri Nazron Mein
Azaab Daitay Howay Bhee Mujhe Khudaa Hee Laga
Na Mere Lutf Pe Hairaan Hai Na Apni Uljhan Per
Mujhe Ye Shakhs Tou Har Shakhs Se Judaa Hee Laga
Similar Posts:
- Shehar Bhar Mein Dhundta Raha Usay Kisi Pagal Ki Tarah
- Zaat ban k meri zaat me raha krta he
- Apni Aaghosh Mai Kisi Roaz Chupa Lo Muj Ko
- Hua Jb usey ehsaas apni sangeen ghalti ka,
- Guman hota hai wo bhool sakta hai mujhe
- Dya Dye Se Jalaa Loon Tou
- Wo Bhi Pesh Aye Hai Insaaf Ke Shaahon Ki Tarah
- Mein Youn hi Shoq Mein Kab Tak Usey Pukara Karon
