Bikney Waly Our Hain Ja Kr Khreed Lo..
Bikney Waly Our Hain Ja Kr Khreed Lo..
Faraz”
Ham Log Qeemat Se Nahen, Qismat Se Mila Krtey Hain…
|
|
Bikney Waly Our Hain Ja Kr Khreed Lo..
Faraz”
Ham Log Qeemat Se Nahen, Qismat Se Mila Krtey Hain…
Chand bhi kya ajeeb cheez hai…
faraz..
Bachpan main “mamu” aur jawani main ”janu” nazar aata hai
Dar Badr Ki Saza Se Darty Hen,
Khushk Patay Hen Hwa Se Drtay Hen,
Aandhion Se kAbHi MUhABbAt Thi HUMIen,
Ab To Baad-e-Saba Se Dartay Hain,
Nafraton Ne Wo Lazzatein Bakhshin,
Chahat Jesi Bala Se Dartay Hain,
Logon k Karam Hain Itnay,
~ Faraz ~
Zindagi ki Dua Se Dartay Hain…
Hum Kisi Ki Dosti K Muntazr Nhi Hain
Faraz
Jo Hamain Chorr Kr Jaye Ga
Wo INSHALLAH Riksha Hi Chlaye Ga.. :
Oh V Chingchi
=/-//-/==/-/
.
.
.
.
.
?
‘
.
Intizar kren
Faraz meeting main hai.
Tm ne bhe suni ho ge
bari aam kahawat ha,
Anjaam ka ho khatra
aghaz badal dalo.
Pur-soz dilon ko jo muskan na de paey,
sur he na milay jis mein
wo saaz badal dalo.
Dushman k iradon ko
hai zahir agar karna,
Tm khail wohe khailo
andaaz badal dalo.
A dost karo himmat
kuch door sawera hai,
Agar chahtay ho manzil to
Parwaz badal dalo.
Fana na kar apni zindagi ko ay jawan raah-e-junoon main.
Tab karega ibadat jab gunnah karne ki taqat na hogi …
Hussn-e-Kirdaar say Noor-e-Mujassim Ho Ja,
Kay iblees Bhi Tujhay Dehkay to Musalmaan Ho Jaey…..!
‘Na Thi Jab Apnay Haal Ki Khabar
Dekhtay Rahay Logon K Aib-o-Hunar
Parri Jab Apnay Gunahoon Par Nazar
To Nigah Mein Koi Aur Bura Na Raha.
Sajdoon k ewiz fardoos mily ye bat mujay manzoor nahi.
Be-loos ibadat krta hon banda hon tera, mazdor nahi.
Justuju dil ki hothon pey aa gayi,
Bhari mehfil mein kyun Hairaani cha gayi,
Gar aag ko dabaana hain Harkat-e-Bujhdil,
To kyun unki Bujhdilli hi Aag laga gayi imran;jutt
Mujhey Saza ke liye bhi nahi qabool woh aag
Kay jis ka shola na ho tand o sarkash o bebaak
Wohi Zamaney ki gardish pe ghaalib aata hai
Jo har nafas se karey umar-e-jaavidan paida
ajab waiz ki din-dari hai ya rab
adawat hai ise sare jahan se
koi ab tak na ye samjha k insan
kahan jata hai ata hai kahan se
wahin se rat ko zulmat mili hai
chamak taron ne pai hai jahan se
ham apni dard-mandi ka fasana
suna karte hain apne razdan se
bari barik hain waiz ki chalen
laraz jata hai awaz-e-azan se
ata hai yad mujhko guzara hua zamana
wo bag ki baharen wo sab ka chah-chahana
azadiyan kahan wo ab apne ghonsale ki
apni khushi se ana apni khushi se jana
lagti ho chot dil par, ata hai yad jis dam
shabnam k anson par kaliyon ka muskurana
wo pyari pyari surat, wo kamini si murat
abad jis k dam se tha mera ashiyana
gulzar-e-hast-o-bu na beganawar dekh
hai dekhne ki chiz ise bar bar dekh
aya hai to jahan mein misal-e-sharar dekh
dam de najaye hasti-e-napayedar dekh
mana k teri did k qabil nahin hun main
tu mera shauq dekh mera intzar dekh
kholi hain zauq-e-did ne ankhein teri to phir
har rahguzar mein naqsh-e-kaf-e-pay-e-yar dekh
ham mashriq k musalmanon ka dil magrib mein ja atka hai
wahan kuntar sab billori hai, yahan ek purana matka hai
is daur mein sab mit jayenge, han baqi wo rah jayega
jo qayam apni rah pe hai, aur pakka apni hat ka hai
ae shaikh-o-brahman sunte ho kya ahl-e-basirat kahte hain
gardon ne kitani bulandi se un qaumon ko de patka hai
jinhen main dhundhta tha asmanon mein zaminon mein
wo nikle mere zulmat-e-khana-e-dil k makinon mein
mahine wasl k ghariyon ki surat urte jate hain
magar ghariyan judai ki guzarti hai mahinon mein
mujhe rokega tu ai nakhuda kya garq hone se
k jin ko dubna hai dub jate hain safinon mein
jala sakti hai sham-e-kushta ko mauj-e-nafas un ki
ilahi kya chupa hota hai ahal-e-dil k sinon mein
tamanna dard-e-dil ki ho to kar khidmat faqiron ki
nahin milta ye gauhar badshahon k khazinon mein
muhabbat k liye dil dhundh koi tutnewala
ye wo mai hai jise rakhte hain nazuk abginon mein
bura samajhun unhen mujh se to aisa ho nahin sakta
k main khud bhi to hun “Iqbal” apne nuktachinon mein
kabhi ai haqiqat-e-muntazir nazar a libas-e-majaz mein
k hazaron sajde tarap rahe hain teri jabin-e-niyaz mein
tarab ashna-e-kharosh ho tu nawa hai mahram-e-gosh ho
wo surur kya k chaya hua ho sukut-e-parda-o-saz mein
tu bacha bacha k na rakh ise tera aina hai wo aina
k shikasta ho to aziz tar hai nigah-e-aina-saz mein
dam-e-tauf kar mak-e-shamma na ye kaha ke wo asr-e-kohan
na teri hikayat-e-soz mein na meri hadis-e-gudaz mein
na kahin jahan mein aman mili jo aman mili to kahan mili
mere jurm-e-khanakharab ko tere azo-e-banda-nawaz mein
na wo ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shokhiyan
na wo gaznawi mein tarap rahi na wo kham hai zulf-e-ayaz mein
jo main sar-ba-sajda kabhi hua to zamin se ane lagi sada
tera dil to hai sanam-ashana tujhe kya milega namaz mein
khird k pas khabar k siwa kuch aur nahin
tera ilaj nazar k siwa kuch aur nahin
har muqam se age muqam hai tera
hayat zauq-e-safar k siwa kuch aur nahin
rangon mein gardish-e-khun hai agar to kya hasil
hayat soz-e-jigar k siwa kuch aur nahin
urus-e-lala munasib nahin hai mujhse hijab
k main nasim-e-sahar k siwa kuch aur nahin
jise qasad samajhte hain tajran-e-firang
wo shay mata-e-hunar k siwa kcuh aur nahin
giranbaha hai to hifz-e-khudi se hai warna
gauhar mein ab-e-gauhar k siwa kuch aur nahin